jindagi ke mehek aur waqt ki khushboo samete ab lautne ke waqt aa gya......
jis safar pe dar kr nikali thi uski manzil se rubaru hone ka waqt aa gya..............
jin haatho se faasle huye unhe thamne ke waqt aa gya...........
jo nayi baahe thami unhe alvida kehne ka waqt aa gya.......
bahut der thahar gyi is padaav pr ab phir se chalne ka waqt aa gya.....
mundi aankho se jaagne ko keh diya h.........
muskurate hotho ko jikr karne ko keh diya h.........
thame kadmo ko uth chalne ko keh diya h........
itminan-e-shumaar dil ko sambhalne ko keh diya h.......
khud ko yaaden batorne ko keh diya h............
ab bas sab sametne ka waqt aa gya h.............
jaag nootan.......ek naye safar par nikalne ka waqt aa gya h...........

No comments:
Post a Comment